a

Friday, July 16, 2010

Apni Hi Sanso Se Chipa Kar

Apni Hi Sanso Se Chipa Kar
Kuch Sunne Ke Liye Bede Hai
Dil Mai Ek Hansi Ki Awaj Hai
Ya Meri Kalpna Ke Pankh Hai
Jo Kahin Door Udna Chate Hai
Shishe Ke Bhitar Qad Hai Ki
Kabhi Koi Ayega Aur Is Qad Se
Is Akelepan Se Door Kar Dega
Kya Tumne Apne Liye Yeh Awaj Suni?
Khuli Hava Mai Khilti Hui Muskuraht Ko
Kyon Band Kamre Mai Qad Kar Diya
Garmi Se Bhari Raton Mai
Sardi Se Bhari Raton Mai
Yeh Khinchi Hui Rekhayen
Mujhse Ek Khel Khelti Hai
Yeh Parchahiyan Picha Nahi Chodti
Ek Kalpna Hai Ek Yaad Hai
Samye In Bato Ko Vyarth Nai Jane
Deta Ek Madhur Kalpna Kabhi Kahin
Kisi Ke Kaam Aa Jaye
To Ankho Ke Agey-Piche Nachti
Tasviron Ko Thoda Aram Aa Jaye

Unke pyar ne hame iss kadar diwana bana diya

Unke pyar ne hame iss kadar diwana bana diya
Khud ko bhul gaya, mujhe khud se begana bana diya
Jab se wo chale gaye hamse juda hokar
Dekhne ki hasrat rah gayi, mujhe aisa aaina bana diya
Najar nahi aata iss gam ke dhue main kuchh bhi
Tadap gaya raushni ke liye mujhe aisa parwana bana diya
Log kahte hain dard kam hota hai sharab pine se
Jaha dard hi dard hai mere jivan ko aisa sharab khana bana diya
Manjil hai kaha hame kya pata
Har cheej se bekhabar mujhe ‘Anjana’ Bana diya.

Wednesday, July 14, 2010

Apni Palko pe meri …

Apni Palko pe meri tasvir ko saja ke rakhna
Apne dil main meri shamma ko jala ke rakhna

Agar bujh jaye to ho jaye na andhere kahi
Isiliye meri amanat ko thoda bacha ke rakhna

Meri muhabbat ka na ho jaye pardafash kahi
Apni masum khatao ko thoda chhupa ke rakhna

Kho na jau dekhkar teri aankho ke hajaro sapne
Apni rangin nigaho ko thoda jhuka ke rakhna

Rah na jaye ham dono ke arman banki
Khuda ke samne apne daman ko faila ke rakhna

Agar mar bhi jaye ‘Avinash’ milne se pahle kahi
Apni musar rat bhari aankho ko na bhiga ke rakhna.

''LOVE AT FIRST SIGHT''.

t does not envy, it does not boast,

it is not proud.

It is not rude, it is not self-seeking.

It is not easily angered,

it keeps no record of wrongs.

Love does not delight in evil,

but rejoices with the truth.

It always protects, always trusts,

always hopes, always perseveres.

Love never fails. ♥Lover♥

Ye Un Dinon Ki Baat......!!!

Ek Duje Pe Martye The Hum Pyaar Ki Baatein Karte The
Khwaabon Mein Khoye Rehte The Baahon Mein Soye Rehte The
Hum Aashiq The Deewane The Is Duniya Se Begaane Se
Ye Un Dinon Ki Baat Hain Jab Hum Paagal Paagal Firte The
Ye Un Dinon Ki Baat Hain Jab Hum Paagal Paagal Firte The

Kehte The Kuch Sunte The Hum Phool Wafa Ke Chunte The
Kabhi Haste The Kabhi Rote The Hum Yaar Juda Jab Hote The
Hume Sab Kuch Achcha Lagta Tha Afsana Sachcha Lagta Tha
Ye Un Dinon Ki Baat Hain Jab Hum Paagal Paagal Firte The
Ye Un Dinon Ki Baat Hain Jab Hum Paagal Paagal Firte The

Tanhaayi Mein Jab Milte The Dil Mein Hulchul Si Hoti Thi
Hum Dono Jaagte Rehte The Jab Saari Duniya Soti Thi
Jab Yaad Tumhari Aati Thi Chaahat Ke Nagme Gaatey The
Bechain Deewani Dhadkan Ko Behlate The Sum Jaate The
Ye Un Dinon Ki Baat Hain Jab Hum Paagal Paagal Firte The

Ek Duje Pe Martye The Hum Pyaar Ki Baatein Karte The
Khwaabon Mein Khoye Rehte The Baahon Mein Soye Rehte The
Hum Aashiq The Deewane The Is Duniya Se Begaane Se
Ye Un Dinon Ki Baat Hain Jab Hum Paagal Paagal Firte The
Ye Un Dinon Ki Baat Hain Jab Hum Paagal Paagal Firte The
Ye Un Dinon Ki Baat Hain Jab Hum Paagal Paagal Firte The

Akela bahot.. tanha hoon main

Akela bahot.. tanha hoon main
apne gamon ka ek hi gawah hoon main....!!

Tuzhse jab mila tha main.
sapne kayi sajaye the
yahi to khata thi meri
ki armanon ke mahal banaye the
apne hi khataon ka khamiaaza hoon main
akela, bahut tanha hoon main...

wahin chamak raha hai sooraj aaj bhi
par roshni ka surag nahin hai
khushi aseem ho mere paas bhi
aisa mera naseeb nahin hai
apne toote sapnon ka janaza hoon main
akela, bahut tanha hoon main....!!!

Uski nazar main khud ko girana para mujhe

Marti hui zameen ko bachana para mujhe
Badal ki thara zameen pe ana para mujhe

Us ajnabi se hath milane ke waste
Mehfil main sab se hath milana para mujhe

Wo kar nahi raha tha meri bat ka yaqeen
Phir yun hua ke mar ke dikkana para mujhe

Bhule se meri taraf koi dekhta na tha
Chehre pe ek zakham lagana para mujhe

Us bewafa ki yaad dilata tha bar bar
Kal aaine pe hath uthana para mujhe

Aise biched kar usne mar jana tha
Uski nazar main khud ko girana para mujhe