Akela bahot.. tanha hoon main
apne gamon ka ek hi gawah hoon main....!!
Tuzhse jab mila tha main.
sapne kayi sajaye the
yahi to khata thi meri
ki armanon ke mahal banaye the
apne hi khataon ka khamiaaza hoon main
akela, bahut tanha hoon main...
wahin chamak raha hai sooraj aaj bhi
par roshni ka surag nahin hai
khushi aseem ho mere paas bhi
aisa mera naseeb nahin hai
apne toote sapnon ka janaza hoon main
akela, bahut tanha hoon main....!!!
No comments:
Post a Comment