Woh kehti hai teri muhabbat raaz hai ab tak
main kehta hoon keh yeh woh raaz hai jo khul k rehna hai
woh mujhse pouchti hai mausamun k dhang kesay hain
main kehta hoon tumharay pairhan k rang jesay hain
woh kehti hai mera har pal tujhe milnay ko ji chahta hai
main kehta hoon tere deedar ko aankhein tarasti hain
woh kehti hai mere aangan mein hai mausam baharun ka
main kehta hoon tera chehra hai khiltay phool ki maanind
woh kehti hai kayi baatein hain dil mein khaar ki soorat
main kehta hoon kayi yaadein hain dil mein dhool ki maanind
woh kehti hai apni sab ghazlein kaaghaz peh likh bhaijo
main kehta hoon meri ghazlein tu sab teri hi baatein hain
woh kehti hai koi din milan ka din b ayaiga
main kehta hoon keh kya behtar nahi k woh aj ka din ho
woh kehti hai tumhain kyun is qadar jaldi hai milnay ki
main kehta hoon mujhe har pal azab e jaan sa lagta hai
woh kehti hai muhabbat mein musarat bhar gayi dil mein
main kehta hoon abhi kuch gham b niklain ge ta'aqub mein
woh kehti hai muhabbat mein bht nadan ho tum tu
main kehta hoon masail se bht anjan ho tum tu
woh kehti hai keh kya guzray zamanay laut atay hain
main kehta hoon keh aisa kab hua mumkin zamanay mein
woh mujhse pouchti hai dard ki yeh raat kab tak hai
main kehta hoon keh pagal pan ki b koi had nahi hoti
woh mujhse pouchti hia kaun roota hai kawaarun mein
main kehta hoon abhi ik dard hai dil ki daraarun mein
woh mujhse pouchti hai ishq kya deewangi kya hai
main kehta hoon koi aatish ragun mein teharjati hai
woh kehti hai keh peela rang hai kyun kar udasi ka
main kehta hoon udasi b kisi diq ki alamat hai
kaha isne muhabbat k sabhi mausam niralay hain
kaha maine muhabbat ki har ik shab main ujalay hain
kaha isne muhabbat mein bht khawaar hotay hain
kaha maine junoo'n k rastay dushwar hotay hain
kaha isne muhabbat weham k soo jal bunti hai
main kehta hoon muhabbat khud yaqeen k phool chunti hai
kaha isne muhabbat sab saharay cheen leti hai
kaha maine muhabbat rooh ko taskeen deti hai
kaha usne muhabbat ik khaam khayal hoti hai
kaha maine muhabbat dukh bhari ik sham hoti hai
woh mujhse pouchti hai loog itnay kasm nazar kyun hain
main kehta hoon kaminapan yahan adat mein shamil hai
woh kehti hai milun tumse kyun kr loog jaltay hian
main kehta hoon keh inki kamtari inko satati hai
woh kehti hai abhi tak khawab kyun kr hian nigahun mein
main kehta hoon abhi tak zindagi ki aas baki hai
woh kehti hai ulajh jati hooon main yaadun k daldal mein
main kehta hoon mere b zehan mein souchun ka jangal hai
woh kehti hia ab kesa laga hai laut kr aana
main kehta hoon abhi tu kuch nahi badla zamanay mein
main kehta hoon mere har soo ghamun ki raat hai koi
woh kehti hia koi din b nikal ayega chupkay se
woh kehti hai tumhain kyun roshni achi nahi lagti
main kehta hoon andherun se shanasayi hai barsun ki
woh kehti hai tera daman haseen phoolun se bahr dun g
main kehta hoon ghamun ne chaid kr dalay hain jhooli mein
woh kehti hia mujhe daman rafoo karna b ata hai
main kehta hoon sada qayim rahay teri yeh maseehayi
woh kehti hai kayi baatein bhula dena hi behtar hai
main kehta hoon mera maazi b naqsh e aab tha koi
woh kehti hai ajab ik dard sa rag rag mein utra hai
main kehta hoon muhabbat dard ki taameer krti hai
woh kehti hai abhi tak hai yeh mausam judayi ka
main kehta hoon meri jan kya krun bas mein nahi kuch b
woh kehti hia keh har rasta tujhe hi dhoondhna hoga
main kehta hoon mujhe ihsaas hai har zimahdari ka
woh kehti hia kyun maah e muhabbat ghutnay lagta hai
main kehta hoon amawas ki sayah raatein b ati hain
woh mujhse pouchti hai is qadar tum natawaan kyun ho
main kehta hoon ghamun ne rooh ko b kr diya ghayal
woh kehti hia ajab ik khoof hai dil k shigaafun mein
main kehta hoon mujhe beyaqeeni dasti rehti hai
woh kehti hai zamana roond dalay ga muhabbat ko
kaha maine meri jaan main magar tumko bacha loon ga
who kehti hai ajab gham zehar sa dil mein utarta hai
main kehta hoon mera dil rait ki soorat bikharta hai
who kehti hai nikal aao ghabar e zaat se bahar
mai nkehta hoon nahi kuch b madar e zaat se bahar
who kehti hai mere lab par muhabbat k taranay hain
main kehta hoon muhabbat k sabhi mausam suhanay hain
who kehti hai tumhari chaahatun mein shidatein kam hain
main kehta hoon meri shidatun peh ab tak khoof haavi hai
kaha maine bht dair kr di phone krnay mein
who kehti hai kabhi samjho b college ki jhameilun ko
who kehti hai mere dil mein tumhara pyar roshan hai
main kehta hoon muhabbat se tera kardaar roshan hai
who kehti hai tumhari chup ne mujhe mayil kiya tum par
kaha maine meri chup main mere dil ki riyazat thi
kaha isne keh lagta hai shanasayi hai barsun se
kaha maine tum se kayi janmun ka naata hai
who kehti hai muhabbat ne mujhe yaksar badal daala hai
kaha maine teri khaatri hi main loogun se milta hoon
who kehti hai mujhe bechainiyaan si ghair rahti hian
kaha maine keh main b iztarab e mustakil mein hoon
who kehti hai ajab ik jabar ka aalam hai jeevan b
main kehta hoon nahi har jabar ki ik had b hoti hai
who kehti hai mujhe milna tumhara khawab lagta hai
main kehta hoon mujhe khawabun mein rehna acha lagta hai
who kehti hai kisi din apne ghar b le chalo mujhko
mai nkehat hoon ajab hai maayigi ka khoof hiadil mein
No comments:
Post a Comment