a

Friday, July 16, 2010

Apni Hi Sanso Se Chipa Kar

Apni Hi Sanso Se Chipa Kar
Kuch Sunne Ke Liye Bede Hai
Dil Mai Ek Hansi Ki Awaj Hai
Ya Meri Kalpna Ke Pankh Hai
Jo Kahin Door Udna Chate Hai
Shishe Ke Bhitar Qad Hai Ki
Kabhi Koi Ayega Aur Is Qad Se
Is Akelepan Se Door Kar Dega
Kya Tumne Apne Liye Yeh Awaj Suni?
Khuli Hava Mai Khilti Hui Muskuraht Ko
Kyon Band Kamre Mai Qad Kar Diya
Garmi Se Bhari Raton Mai
Sardi Se Bhari Raton Mai
Yeh Khinchi Hui Rekhayen
Mujhse Ek Khel Khelti Hai
Yeh Parchahiyan Picha Nahi Chodti
Ek Kalpna Hai Ek Yaad Hai
Samye In Bato Ko Vyarth Nai Jane
Deta Ek Madhur Kalpna Kabhi Kahin
Kisi Ke Kaam Aa Jaye
To Ankho Ke Agey-Piche Nachti
Tasviron Ko Thoda Aram Aa Jaye

Unke pyar ne hame iss kadar diwana bana diya

Unke pyar ne hame iss kadar diwana bana diya
Khud ko bhul gaya, mujhe khud se begana bana diya
Jab se wo chale gaye hamse juda hokar
Dekhne ki hasrat rah gayi, mujhe aisa aaina bana diya
Najar nahi aata iss gam ke dhue main kuchh bhi
Tadap gaya raushni ke liye mujhe aisa parwana bana diya
Log kahte hain dard kam hota hai sharab pine se
Jaha dard hi dard hai mere jivan ko aisa sharab khana bana diya
Manjil hai kaha hame kya pata
Har cheej se bekhabar mujhe ‘Anjana’ Bana diya.

Wednesday, July 14, 2010

Apni Palko pe meri …

Apni Palko pe meri tasvir ko saja ke rakhna
Apne dil main meri shamma ko jala ke rakhna

Agar bujh jaye to ho jaye na andhere kahi
Isiliye meri amanat ko thoda bacha ke rakhna

Meri muhabbat ka na ho jaye pardafash kahi
Apni masum khatao ko thoda chhupa ke rakhna

Kho na jau dekhkar teri aankho ke hajaro sapne
Apni rangin nigaho ko thoda jhuka ke rakhna

Rah na jaye ham dono ke arman banki
Khuda ke samne apne daman ko faila ke rakhna

Agar mar bhi jaye ‘Avinash’ milne se pahle kahi
Apni musar rat bhari aankho ko na bhiga ke rakhna.

''LOVE AT FIRST SIGHT''.

t does not envy, it does not boast,

it is not proud.

It is not rude, it is not self-seeking.

It is not easily angered,

it keeps no record of wrongs.

Love does not delight in evil,

but rejoices with the truth.

It always protects, always trusts,

always hopes, always perseveres.

Love never fails. ♥Lover♥

Ye Un Dinon Ki Baat......!!!

Ek Duje Pe Martye The Hum Pyaar Ki Baatein Karte The
Khwaabon Mein Khoye Rehte The Baahon Mein Soye Rehte The
Hum Aashiq The Deewane The Is Duniya Se Begaane Se
Ye Un Dinon Ki Baat Hain Jab Hum Paagal Paagal Firte The
Ye Un Dinon Ki Baat Hain Jab Hum Paagal Paagal Firte The

Kehte The Kuch Sunte The Hum Phool Wafa Ke Chunte The
Kabhi Haste The Kabhi Rote The Hum Yaar Juda Jab Hote The
Hume Sab Kuch Achcha Lagta Tha Afsana Sachcha Lagta Tha
Ye Un Dinon Ki Baat Hain Jab Hum Paagal Paagal Firte The
Ye Un Dinon Ki Baat Hain Jab Hum Paagal Paagal Firte The

Tanhaayi Mein Jab Milte The Dil Mein Hulchul Si Hoti Thi
Hum Dono Jaagte Rehte The Jab Saari Duniya Soti Thi
Jab Yaad Tumhari Aati Thi Chaahat Ke Nagme Gaatey The
Bechain Deewani Dhadkan Ko Behlate The Sum Jaate The
Ye Un Dinon Ki Baat Hain Jab Hum Paagal Paagal Firte The

Ek Duje Pe Martye The Hum Pyaar Ki Baatein Karte The
Khwaabon Mein Khoye Rehte The Baahon Mein Soye Rehte The
Hum Aashiq The Deewane The Is Duniya Se Begaane Se
Ye Un Dinon Ki Baat Hain Jab Hum Paagal Paagal Firte The
Ye Un Dinon Ki Baat Hain Jab Hum Paagal Paagal Firte The
Ye Un Dinon Ki Baat Hain Jab Hum Paagal Paagal Firte The

Akela bahot.. tanha hoon main

Akela bahot.. tanha hoon main
apne gamon ka ek hi gawah hoon main....!!

Tuzhse jab mila tha main.
sapne kayi sajaye the
yahi to khata thi meri
ki armanon ke mahal banaye the
apne hi khataon ka khamiaaza hoon main
akela, bahut tanha hoon main...

wahin chamak raha hai sooraj aaj bhi
par roshni ka surag nahin hai
khushi aseem ho mere paas bhi
aisa mera naseeb nahin hai
apne toote sapnon ka janaza hoon main
akela, bahut tanha hoon main....!!!

Uski nazar main khud ko girana para mujhe

Marti hui zameen ko bachana para mujhe
Badal ki thara zameen pe ana para mujhe

Us ajnabi se hath milane ke waste
Mehfil main sab se hath milana para mujhe

Wo kar nahi raha tha meri bat ka yaqeen
Phir yun hua ke mar ke dikkana para mujhe

Bhule se meri taraf koi dekhta na tha
Chehre pe ek zakham lagana para mujhe

Us bewafa ki yaad dilata tha bar bar
Kal aaine pe hath uthana para mujhe

Aise biched kar usne mar jana tha
Uski nazar main khud ko girana para mujhe

Thursday, July 8, 2010

Yeh Dil tum se Pyaar karna chahta hai

Yeh Dil tum se Pyaar karna chahta hai
Apni Mohabbat ka iqraar karna chahta hai

Jab se dekha hai tum ko aey Sanam
Bas tumhara hi dedaar karna chahta hai

Logon se sunte the Mohabbat ke afsaane
Khuwaab humne bhi dekhhe the suhaane

Pyaar kya hai ? hum aksar sochte the
Is baat se hum apne Dil ko rokte the

Lekin ab tumhain is Dil main basakar
Yeh khata ek baar karna chahta hai

Yeh Dil tum se Pyaar karna chahta hai
Apni Mohabbat ka izhaar karna chahta hai

BEWAFAII KI YEH INTEHA HOGAYEE

BEWAFAII KI YEH INTEHA HOGAYEE
ke tujhse juda hokar bhi jeeney ki aadat hogayee

tum laut ke aaogey humsey milney
roz dil ko behlaney ki aadat hogayee

terey waadey pe kya bharosa kiya humney
keh shab bhar tera intezaar karney ki aadat hogayee

khushi mein bhi hum kya muskuratey keh
teri judaai mein roney ki aadat hogayee

kaafiley nikal gaye humein chhor keh
keh ab tou tanha safar ki aadat hogayee

har morh par mili ghum ki parchhaiyaan
zindagi se samjhota karney ki aadat hogayee

jaantey thay keh nahi hosaktey kabhi tum hamarey
phir bhi khuda se tujhey maangney ki aadat hogayee

paiman-e-wafaa kya hai humey kya maloom
keh bewafaaon se dil laganey ki aadat hogayee

Me Tum Se Kch Kehna Chahata Hon,

Me Tum Se Kch Kehna Chahata Hon,

Kehny ka Jab Irada Karta Hon,

Mary bolny Se qabal He,

Ek dard Angrai ly kar Bedar ho Jata Hai.

Phr……!

Na Dil Sambhalta Hai

Na Aansoo Rook Pata Hon,

Mai Tum Se Kch Kehna Chahata Hon,

Magar……!

Ab Yun Lagta Hai Mujhy,

K Mai Kabhe Bhi Tum Se Kuch Keh Na Paaon Ga,

TUM KISI OR Ki HO JAO Gi,

Mai Tanhaa Reh Jaon Ga,

Mai Tanhaa Reh Jaon Ga.>>.....!

MOhabbatOun Ke Safar Mein kOii

MOhabbatOun Ke Safar Mein kOii

jUdaiyOun Ka jO Lamha Aaye
tO ChahtOun Key Safeer lOgo
BiCharney WallOun Ko rOk lAina
wO Laakh tUm kO Naii RutOun Ke
HASeen Lamhien Bantien
jUdaiyOun Key Siyaah RaStOn Sey
WapSii Ka Sarab Baantien

TO Un Kii BaatOun
HaSeen WadOun Ka Dam Na Bharna
YaQeen Na Karna
Ke WaPsii Kii TaVeel mUSafatOun Sey Palat Key Aana
bOhet Kathin hAi

kOii Agar lOtna Chahey
tO Beetay LamhOun Kii Taiz Aandhii
Tamam VadOun Kii ROshnii Cheen Kar
AndhairOun Ko Baant-ti hai
Kisi Ki AankhOun Key ManzarOun Sey
Waffa RangOun Ke Khatam hOne Ka
KhOuf Bhi Dil Ko ROkta hAi
Aur Iss Tarah FaaSlOun Mein KhOye hOye Kabhi Bhi Nahi Palat-tey
jUdaiyOun Key RaaStOun Mein mUntazir lOg Apney Apney Diye jAlaye
Bas Eik RaStey Ko Dekhtey hAin
Naii RutOun Key HaSeen LamhOun Key
Khwaab AankhOun Mein tOot-tey hAin
BiCharney Waley jUdaii Key RastOun Mein Baithey
BiKhartey KhwabOun Ki KiRchiyOun Ko Samait-tey hAin

BiCharney Walo Agar Na tUm Ko YaQeen Aaye
tO Meri AankhOun Mein Raiza Raiza
BiKhartey KhwabOun Ko Dekh Laina
Jinhien ChahOn Samaitna Bhii tO Meray Bas Mein wO Ab Nahi hAi

TO Roshnii Key Safeer lOgo
BiCharney WallOn Ko rOk Laina..................!

Main Tanha Tha Aur Tanha Hi Rah Jaaunga,

Main Tanha Tha Aur Tanha Hi Rah Jaaunga,
Ye Chaand Tare Bhi Sare Aasmaan Sone Ko Hain.

Hasile Wafa Ka Takaza Bhi Dekha Yaron,
Ye Dardo Gham Bhi Aaj Humse Khone Ko Hain.

Jo Yaar Aaye Thi Mera Haath Batane,
Wahi To Ab Meri Kashti Dibone Ko Hain.

Teri Gali Ke Feron Me Dhul Jo Jam Gai Thi,
Ek Muddat Ke Baad Hum Bhi Muh Dhone Ko Hain.

Uth Ke Chal Diye Jo Unki Mahfil Se Hum,
Tab Sune Wo Bhi Meherbaan Hone Ko Hain.

Palkon Pe Basne Wale Kahin Ashq Na Ban Jaayen,
Unhe Sambhalna ‘Shaad’ Meri Aankh Bhi Ab Rone Ko Hain.

Woh kehti hai teri muhabbat raaz hai ab tak

Woh kehti hai teri muhabbat raaz hai ab tak
main kehta hoon keh yeh woh raaz hai jo khul k rehna hai

woh mujhse pouchti hai mausamun k dhang kesay hain
main kehta hoon tumharay pairhan k rang jesay hain

woh kehti hai mera har pal tujhe milnay ko ji chahta hai
main kehta hoon tere deedar ko aankhein tarasti hain

woh kehti hai mere aangan mein hai mausam baharun ka
main kehta hoon tera chehra hai khiltay phool ki maanind

woh kehti hai kayi baatein hain dil mein khaar ki soorat
main kehta hoon kayi yaadein hain dil mein dhool ki maanind

woh kehti hai apni sab ghazlein kaaghaz peh likh bhaijo
main kehta hoon meri ghazlein tu sab teri hi baatein hain

woh kehti hai koi din milan ka din b ayaiga
main kehta hoon keh kya behtar nahi k woh aj ka din ho

woh kehti hai tumhain kyun is qadar jaldi hai milnay ki
main kehta hoon mujhe har pal azab e jaan sa lagta hai

woh kehti hai muhabbat mein musarat bhar gayi dil mein
main kehta hoon abhi kuch gham b niklain ge ta'aqub mein

woh kehti hai muhabbat mein bht nadan ho tum tu
main kehta hoon masail se bht anjan ho tum tu

woh kehti hai keh kya guzray zamanay laut atay hain
main kehta hoon keh aisa kab hua mumkin zamanay mein

woh mujhse pouchti hai dard ki yeh raat kab tak hai
main kehta hoon keh pagal pan ki b koi had nahi hoti

woh mujhse pouchti hia kaun roota hai kawaarun mein
main kehta hoon abhi ik dard hai dil ki daraarun mein

woh mujhse pouchti hai ishq kya deewangi kya hai
main kehta hoon koi aatish ragun mein teharjati hai

woh kehti hai keh peela rang hai kyun kar udasi ka
main kehta hoon udasi b kisi diq ki alamat hai

kaha isne muhabbat k sabhi mausam niralay hain
kaha maine muhabbat ki har ik shab main ujalay hain

kaha isne muhabbat mein bht khawaar hotay hain
kaha maine junoo'n k rastay dushwar hotay hain

kaha isne muhabbat weham k soo jal bunti hai
main kehta hoon muhabbat khud yaqeen k phool chunti hai

kaha isne muhabbat sab saharay cheen leti hai
kaha maine muhabbat rooh ko taskeen deti hai

kaha usne muhabbat ik khaam khayal hoti hai
kaha maine muhabbat dukh bhari ik sham hoti hai

woh mujhse pouchti hai loog itnay kasm nazar kyun hain
main kehta hoon kaminapan yahan adat mein shamil hai

woh kehti hai milun tumse kyun kr loog jaltay hian
main kehta hoon keh inki kamtari inko satati hai

woh kehti hai abhi tak khawab kyun kr hian nigahun mein
main kehta hoon abhi tak zindagi ki aas baki hai

woh kehti hai ulajh jati hooon main yaadun k daldal mein
main kehta hoon mere b zehan mein souchun ka jangal hai

woh kehti hia ab kesa laga hai laut kr aana
main kehta hoon abhi tu kuch nahi badla zamanay mein

main kehta hoon mere har soo ghamun ki raat hai koi
woh kehti hia koi din b nikal ayega chupkay se

woh kehti hai tumhain kyun roshni achi nahi lagti
main kehta hoon andherun se shanasayi hai barsun ki

woh kehti hai tera daman haseen phoolun se bahr dun g
main kehta hoon ghamun ne chaid kr dalay hain jhooli mein

woh kehti hia mujhe daman rafoo karna b ata hai
main kehta hoon sada qayim rahay teri yeh maseehayi

woh kehti hai kayi baatein bhula dena hi behtar hai
main kehta hoon mera maazi b naqsh e aab tha koi

woh kehti hai ajab ik dard sa rag rag mein utra hai
main kehta hoon muhabbat dard ki taameer krti hai

woh kehti hai abhi tak hai yeh mausam judayi ka
main kehta hoon meri jan kya krun bas mein nahi kuch b

woh kehti hia keh har rasta tujhe hi dhoondhna hoga
main kehta hoon mujhe ihsaas hai har zimahdari ka

woh kehti hia kyun maah e muhabbat ghutnay lagta hai
main kehta hoon amawas ki sayah raatein b ati hain

woh mujhse pouchti hai is qadar tum natawaan kyun ho
main kehta hoon ghamun ne rooh ko b kr diya ghayal

woh kehti hia ajab ik khoof hai dil k shigaafun mein
main kehta hoon mujhe beyaqeeni dasti rehti hai

woh kehti hai zamana roond dalay ga muhabbat ko
kaha maine meri jaan main magar tumko bacha loon ga

who kehti hai ajab gham zehar sa dil mein utarta hai
main kehta hoon mera dil rait ki soorat bikharta hai

who kehti hai nikal aao ghabar e zaat se bahar
mai nkehta hoon nahi kuch b madar e zaat se bahar

who kehti hai mere lab par muhabbat k taranay hain
main kehta hoon muhabbat k sabhi mausam suhanay hain

who kehti hai tumhari chaahatun mein shidatein kam hain
main kehta hoon meri shidatun peh ab tak khoof haavi hai

kaha maine bht dair kr di phone krnay mein
who kehti hai kabhi samjho b college ki jhameilun ko

who kehti hai mere dil mein tumhara pyar roshan hai
main kehta hoon muhabbat se tera kardaar roshan hai

who kehti hai tumhari chup ne mujhe mayil kiya tum par
kaha maine meri chup main mere dil ki riyazat thi

kaha isne keh lagta hai shanasayi hai barsun se
kaha maine tum se kayi janmun ka naata hai

who kehti hai muhabbat ne mujhe yaksar badal daala hai
kaha maine teri khaatri hi main loogun se milta hoon

who kehti hai mujhe bechainiyaan si ghair rahti hian
kaha maine keh main b iztarab e mustakil mein hoon

who kehti hai ajab ik jabar ka aalam hai jeevan b
main kehta hoon nahi har jabar ki ik had b hoti hai

who kehti hai mujhe milna tumhara khawab lagta hai
main kehta hoon mujhe khawabun mein rehna acha lagta hai

who kehti hai kisi din apne ghar b le chalo mujhko
mai nkehat hoon ajab hai maayigi ka khoof hiadil mein

Kal raat ajab itefaaq hua

Kal raat ajab itefaaq hua

Mujhe khwab mein tera dedaar hua

Dheere se main tere paas hua

Magar phir khwab ka ehsaas hua

Main ne socha ke tera naam loon

Phir chaha ke badh ke thaam loon

Haseen honton se tera jaam loon

Main hijar mein wisaal ka kaam loon

Magar bhool gaya yeh to khwab tha

Main khwab mein kitna be hijaab tha

Magar baat na thi sirf hijaab ki

Mera payar bhi to be hisaab tha

Khuli aankh to khwab nilaam hua

Mera din bhi jaise shaam hua

Mere payar ka kissa tamaam hua

Youn mere khwab ka ikhtitaam hua.

Aao mil ek nayi duniya basaye,

Aao mil ek nayi duniya basaye,
jaha sabhi hanse muskuraye...

Jaha sabhi pyaar kare,
nahi koi b takraar kare,

jaha sabhi mil jul k rahe,
har taraf pyar ki nadiya bahe,

aur sabhi hanse muskuraye..
Aao mil ek nayi duniya basaye...

Kisi ko dekh, koi jalta na ho,
koi kisi ki aankho ko khalta na ho,

koi gar gire to sab mil k use uthaye..
Aao mil ek nayi duniya basaye..
Jaha sabhi hanse muskuraye...

Oonch neech ka koi bhed na ho,
kisi ki baat pe kisi ko koi khed na ho,
sabke dilo me sum-bhav jag jaye,
aao mil ek nayi duniya basaye..
Jaha sabhi hanse muskuraye...

Har ek ko, har ek ki parwaah ho,
jab koi achha kare to wah wah ho !
Sabke dilo me pyar k phool khil jaye..
Aur sabhi hanse muskuraaye...
Aao mil ek nayi duniya basaye...
Jaha sabhi hanse muskuraaye...

Duniya me sirf ek he aisi chooot ki bimari hai jo achhi mani jati hai, wo hai smile...

So please sabhi HANSE MUSKURAAYE...
AUR HO SAKE TO ISI DUNIYA KO KHOOBSURAT BANAYE...

Mere Dil Ko Tujhse Hi Pyar Hai,

Mere Dil Ko Tujhse Hi Pyar Hai,
Yeh Jaan Bus Ab Tujh Pe Nisaar Hai,


Tere Labon Pe Meri Hassi Ka Khumar Hai,
Meri Aankhon Mein Tere Aansoon Ab Manzoor Hai,



Mere In Labon Pe Teri Hassi Ka Bus Khumar Hai,
Tere Pass Mohabat Bahoot Hai,


Par Mere Liye Is Jahan Mein Bus Ek Tu Khaas Hai,
Meri In Aankhon Mein Tu Basa Hua Khwab Hai,


Raaton Mein Meri Neenden Tujhpe Hi Nisar Hai,

Teri Mehfil Mein Bahut Chahne Wale Tere Hai,
Par Mere Iss Duniya Ka Tu Hi Khuda Ab Hai


Meri Hatheliyon Mein Tera Naam Nahin Hai,
Par Meri Zindagi Ka Haqdar Bus Ab Tu Hi Hai,

Kya Batau Tujhe Mujhe Pyar Tujhse Beshumaar Hai.

Bicharnay aur judai main

Bicharnay aur judai main
zara sa fark hota hay
Juda ho kar kisi se phir
kabi koi nahi milta

Bichar jain to milnay ka
koi imkaam rehta hay
Juda ho kar kisi ki yaad
dil main reh nahi sakti
bichar jain to dil main ik
diya jalta hi rehta hay

Juda ho kar kisi ka pyaar
dil main reh nahi sakta
bichar jain to dil main bus
usi ka pyar rehta hay

To phir aay hum sukhan meray
tu mera faisla sun lay
mujehn tum se bicharna ay
Juda tum se nahi hona …….!!!!

Mana teri nazar mein tera pyaar hum nahi,

Mana teri nazar mein tera pyaar hum nahi,
kaise kahen ki tere talabgaar hum nahi,

Khud ko jala ke khak kar dala, mita diya,
lo ab tumhari raah mein dewaar hum nahi,

Jis ko sanwara humne tamannaon ke khoon se,
gulshan mein us bahar ke haqdaar hum nahi,

Dhokha diya hai khud ko muhobbat ke naam se,
kaise kahen ki tere gunahgaar hum nahi.

Raat phir khawaab main aa kar mujhse

Raat phir khawaab main aa kar mujhse
Meri ammi ne kuchh sawaal kiye
Usse pahley mujhey duaa ye di
Khuda karey ki tu sau saal jiye
Unki aankhon main mahobbat bhi thi,

Afsos bhi tha
Ek aaNsu bhi tha un aankhon main
Jo chillata bhi tha, khamosh bhi tha
Mujhse poocha ki betey kaisey ho
Koi diqqat to nahin hai tumko

Phir kaha

Tumko maloom hai kya
Main badi takleef main hoon
Jab se laiti hoon so nahin payee
Tumhaari wajah se main khul ke ro nahin payee
Terey gunaah mujhko saanp banke danstey hain
Farishtey aakar har roz fiqrey kastey hain

Tumhi bataao beta mainey kya kami ki thi
Merey samjhaney main kami thi kya
Ya meri tarbiyat adhoori thi
Kyon burey kaam roz kartey ho
Kyon nahin us khuda se dartey ho

Jisney tumko ye jaan bakshi hai
Jisney tumko amaan bakshi hai
Laut kar jiske paas jaana hai
Kya usey munh nahin dikhana hai
Kya tumhein is liye padaya tha
Kya tumhein yehi sab sikhaya tha

Ki apney ilm par Guroor karo
Apney nafs ko masroor karo
Jab bhi bolo to bas galat bolo
Zulm dekho to lab nahi kholo
Chodkar deen bhool kar mazhab
Apni auqaat note main taulo
Sach batao ki kya ye qissa hai

Kya ye andaaz meri tarbiyat ka hissa hai
Mujhko afsos nahin ki tu mujhey bhool gaya
Ranj ye hai ki mera jeena hi fizool gaya
Main to Jee key bhi roz marti hoon
Main tujhey roz yaad karti hoon
Jis tarah jeeney ka agaaz kiya hai tuney

Uskey anjaam se main darti hoon
Khuda karey ki tujhey ab bhi samajh aa jaye
Koi to aakey tujhey seedhee raah dikha jaye
Ki ikhtitaam ho teri gunah ki shaamon ka
Mujhey bhi ajr miley terey naik kaamon ka

ek baar kaho tum meri ho

ek baar kaho tum meri ho
main baithi door jharokhe me
ek preet liye man me teri
tu kab sajan ab samjhega
aankhon ki bhasha meri
meri deed bhi tu meri idd bhi tu
par kah na sakun main teri hun

ik baar jo main ye kah paati
to teri ban ke rah jaati
main dil se bas teri hi rahi
par honto se na kah paai
tum mere deepak ban ke jale
un tanhaai ki raton me
jab neend nahi thi aankho me
aur dil me koi khwab na tha

saawan ke har ik baadal me
maine tumko hi dekha hai
kya kahun ki mere haathon me
ek tanhaai ki rekha hai

mere roop pe dhoop padi jab jab
tu saya banke chhaya hai
har shaam bhi tujhko yaad kiya
ik pal me sou sou baar kiya
par kah na saki ki teri hun…………

ek baar kaho tum meri ho

ek baar kaho tum meri ho
main baithi door jharokhe me
ek preet liye man me teri
tu kab sajan ab samjhega
aankhon ki bhasha meri
meri deed bhi tu meri idd bhi tu
par kah na sakun main teri hun

ik baar jo main ye kah paati
to teri ban ke rah jaati
main dil se bas teri hi rahi
par honto se na kah paai
tum mere deepak ban ke jale
un tanhaai ki raton me
jab neend nahi thi aankho me
aur dil me koi khwab na tha

saawan ke har ik baadal me
maine tumko hi dekha hai
kya kahun ki mere haathon me
ek tanhaai ki rekha hai

mere roop pe dhoop padi jab jab
tu saya banke chhaya hai
har shaam bhi tujhko yaad kiya
ik pal me sou sou baar kiya
par kah na saki ki teri hun…………

MUJHE ACHA LAGTA HAI....

MUJHE ACHA LAGTA HAI....

TUMHEIN YAAD KARNA AUR

LIKHTE REHNA TUMHARA NAAM

KABHI HATHELI PAR, KABHI PHOOL KI PATIYOUN PAR

KABHI DIL KAY AAINEY PAR

...KABHI YAADON KAY DAREECHAY PAR

KABHI KHOI HUI RAAHOUN PAR

MAGAR JO BEET JATI HAI

WOH GHARI PHIR NAHI AATI

KAY JAISE ROOH KA TARAPNA AUR

DIL KA BECHAIN HONA

MAIN SUB JANTA HUN

LAIKIN PHIR BHI

MUJHE ACHA LAGTA HAI

TUMHE YAAD KARNA AUR LIKHTE REHNA TUMHARA NAAM...

Wo kehti hai suno janan mohabbat maum ka ghar hai

Wo kehti hai suno janan mohabbat maum ka ghar hai
Tapish ye bad ghumani ki kaheen pighla na de isko
Mai kehta hon k jiss dil mai zara bhi bad ghumani ho
Wahan kuch aur ho to ho mohabbat ho nahi sakti

Wo kehti hai, sada aisey hi kya tum mujhko chahogey
K mai iss mai kami bilkul gawara kar nahi sakti
Mai kehta hon, mohabbat kya hai ye tumne sikhaya hai
Mujhe tumsey mohabbat k siwa kuch bhi nahi aata

Wo kehti hai judai se boht darta hai dill mera
K tumko khud se hat kar daikhna mumkin nahi hai ab
Mai kehta hon yahi khadshey boht mujhko satatey hain
Magar sach hai mohabat mai judai sath chalti hai

Wo kehti hai batao kya merey bin jee sakogay tum
Meri batain meri yadain, meri ankhain bhula do gay
Mai kehta hon kabhi is baat par socha nahi mainey
Agar ik pal ko bhi sochon tau sansain rukne lagti hain

Wo kehti hai tumhe mujhse mohabat iss qadar kyun hai
K mai ik aam si larki tumhe kyun khas lagti hon
Mai kehta hon kabhi khudko
Meri aankhon se dekho to tum khud he jan jaoge......!!!

Suno wafa ruswa nai karna

Suno wafa ruswa nai karna
suno aisa nai krna.
main pehly hi akela hon
mujhy tanha nai krna.

bohat masroof ho jana to...socha nai krna.
Barosa bhe zarori hai magr sab ka nai krna.
Muqadar phir muqadar hai kabi dawa nai krna.

jo likha hai wo hona hai kabi shikwa nai krna.
meri takmel tum se hai mujhy adhora nai krna.
Haqeqat hai milan apna isy sapna nait krna.

humin tum yaad rehty ho humin bhola nai krna.
wafa Ruswa nai krna suno aisa nai krna.
suno aisa nai krna.

Sakoot-e-jaan ka matlab batado phir chalay jana

Sakoot-e-jaan ka matlab batado phir chalay jana
Ya phir sargoshian dil ki suna do phir chalay jana

Jo mera aur tumhara waqt guzra hansnay ronay may
Usay puri tarha se tum bhulado phir chalay jana

Ye saray pair poday tum bin kai raat jagay hai
Tum aakay ek baar inko sulado phir chalay jana

Kisi ko chahne ka aur kisi se chahay janay ka
Jo hai ahsaas tum usko bhulado phir chalay jana

Bus ik murda hansi se apnay ashko ko chupanay ka
Jo fun aata hai tum ko, wo sikhado phir chalay jana

Wo jo ik lafz-e-ulfat hai, juda hai apnay maani se
Bus in alfaz-o-mani ko milado phir chalay jana

Jo kehte kahte ruk gaye, un sari bato ki
Sama'at ko talab hai wo suna do phir chalay jana

Na janay q hai lakin dekhne ki tum ko aadat hai
Meri ye be-waja aadat chura do phir chalay jana

Merey in roz-o-shab ka ek fakat unwan bus tum ho
Mujhe tum doosra unwan lado phir chalay jana

Pyar ki koshish, ay Khuda, na jaye raigan
Mujhe is sabr ka kuch phal dila do phir chalay jana

ABHI NA JAO CHOR KER

ABHI NA JAO CHOR KER

K DIL ABHI BHARA NAHI

ABHI ABHI TO AAYE HO, BAHAR BAN K CHAYE HO

HAWA ZARA MEHAK TO LE,NAZAR ZARA SAMBHAL TO LE

MEIN THORI DER JEE TO LO

NASHE KE GHOONT PEE TO LO

ABHI TO KUCH KAHA NAHI, ABHI TO KUCH SUNA NAHI

'' JAWAB''

SITARE JHILMILA UTHE

CHIRAGH JAGMAGA UTHE

BUS AB NA MUJH KO TOKNA

NA BARH K RAH ROKNA

AGR MEIN RUK GAYA AB TO, NA JA PAO GA KABHI

YEHI KAHO GA K ABHI DIL BHARA NAHI

K ABHI DIL BHARA BAHI...

DIL KI CHOKKAT PE JO DEEP JALA RAKHA HAI,

DIL KI CHOKKAT PE JO DEEP JALA RAKHA HAI,
TERE LOUT AANE KA IMKAN SAJA RAKHA HAI,
SAANS TAK BHI NAHI LETE TUMHE SOCHTE WAQT,
HUM NE IS KAAM KO KAL PE UTHA RAKHA HAI,
ROOTH JATE HO TO KUCH OR HASEEN LAGTE HO,
...HUM NE YEH SOCH K HI TUM KO KHAFA RAKHA HAI,
TUM JISE ROTA HUA CHOR GAYE THAY IK DIN
HUM NE USS SHAM KO SEENE SE LAGA RAKHI HAI,
CHAIN LENE NAHI DETA YE KISI TARHAN BHI MUJHE,
TERI YAADON NE JO TOOFAN UTHA RAKHA HAI...